Friday, August 25, 2006

Logon ka kaam hai kehna...


Yesterday, i watched the all the time great movie Sharaabi for the 11th time. If you can understand what these great lyrics mean, then you are GOD!!!. Here they go,

Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon (2)
Tum Ne Bhi Shaayad Yehi Soch Liye Haan
Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon

Kissi Pe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kissi Ke Dil Pe Mohabbat Ki Rawaani Ka Nasha
Kissi Ko Dekhke Saanso Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Hadh Se Guzarta Hai Nasha
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kisse Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara
Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hawa Pe Khushbu Ka Baadal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara (2)

Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon (2)
Tum Ne Bhi Shaayad Yehi Soch Liye Haan
Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon
-----------------------------------
Huh...I should not even attempt to explain this....

SumSid

0 Comments:

Post a Comment

<< Home