Tuesday, March 21, 2006

10 cents


Ek roj zindagi ke ru-baru aa baithe...
Zindagi ne poocha..dard kya hai..? Kyun hota hai..?
Kahan hota hai, yeh bhi toh pata nahi chalta....
Tanhai kya hai aakhir...?
Kitne log toh hain...fir tanha kyun ho...?
Mera chehra dekh kar zindagi ne kaha...main tumhari judwa hun...mujhse naaraz na hua karo...!!

Saturday, March 18, 2006

ek akela is shehar main


Maut tu ek kavitaa hai mujhse ek kavita ka vada hai milegi mujhko
doobti nabzon mein jab dard ko neend aane lage
zard sa chehra lekar jab chaand ufaq tak pahunche
din abhi paani mein ho, raat kinaare ke kareeb
na andhera na ujaala ho, na abhi raat na din
jism jab khatm ho aur rooh ko jab saans aaye
mujhse ek kavita ka waada hai milegi mujhko....

Kya bhoolon kya yaad karoon



age 5 years -----place Shahjahanpur----school: St.paul
age 10-17------place lucknow-----------college:mbic
age 17-21-------place Kanpur------------college:IIT Kanpur


---------------------------------------------------------------
age21-22--------place mumbai-------------company:NIIconsulting
age 22-----------place ???????-------------company:?????????

Tuesday, March 14, 2006

Why do ppl write blogs


Frankly speaking i dont know why i write blogs. During my IIT days i used to read the blogs of Saurabh Nanda who used to post some cool linux stuff there. But do we write blogs for information??? I guess NO!! I think most people (like me) write blogs when they get frustrated from work (or life) and then blogs is a medium to take a break from work and post all ur frustration . Some day you may look back at those pages and smile :). Other than this , you may also have a secret admirer :))

Friday, March 03, 2006

Lo din beeta ,lo raat aaye


Few lines from sunset point

shaam bhuj rahi thi aur aane wale ki koi aahat nahin thi kahin
neeche behta dariya keh raha tha ,
aao meri aagosh main aa jao ,
main tumhari badnami ke saare daag meta doonga....

din magar dhalne laga hai,
dil main ek khauf sa baith raha hai.....

woh der se pahuncha tha , magar wakt par pahuncha tha...