Wednesday, April 26, 2006

aao fir nazm kahein


tukda ek nazm ka raat bhar sason main meri sarakta hi raha,
lub par aaya toh jaban katne lagi
daaton se pakda toh lub chilne lage
na toh faika hi gaya mooh se , na nigla hi gaya,
tukda ek "kaanch" ka atak jaye halak main jaise,
tukda woh nazm ka sason main meri sarakta hi raha!!!!!
----------------------------------------------$um$id

Thursday, April 20, 2006

Monster.com , Blogger.com XSS bug


moved to http://axcesdenied-gofox.blogspot.com/

Friday, April 14, 2006

kab aate ho.. kab jaate ho



imli ka yeh pedh hawa main jab hilta hai toh,
imli ka yeh pedh hawa main jab hilta hai toh,

eenth ki deewar par parchai ka cheenta padhta hai!!!
aur jasb ho jaata hai jaise.. sookhe matit par koi paani ka katre bikhair gaya ho..

dheere dheere aagan main fir dhoop sisakti rehti hai..
kab aate ho.. kab jaate ho..
din main kitni baar. mujhe yaad aate ho...

enjoy. SumSid!!

Thursday, April 13, 2006

zara hatke.. zara bachke.. yeh hai bambai ..meri jaan



bambai main 8 mahine rehne ke baad, agar sach kahoon ko bambai sach main aisis hai..

morning.. and evening

"din khaali khaali bartan hai..
aur raat hai jaise andha kuan..
In sooni andheri aankhon mein
aansoo ki jagah aata hai dhuan"




i can recall another gulzaar masterpiece but i dont think this applies to mumbai..

"dupahrein aise lagti hain, jaise bina mohron ke khaali khaane rakhe hain..
na koi khelna wala hai baji.. aur na koi chaal chalta hai..
na din hota hai na raat.. sabhi kuch ruk gaya hai..
wo kaya mausam ka jhonka tha.. jo is deewar par latki hui tasveer tirchi kar gaya hai"




khair

"Dil Dhuu.NDhataa hai, phir vahii, fursat ke raat din"
......SumSid

Yaadein....



Unhe yeh ummend ki hum bulate..
Humein yeh ummenid ki woh pukarein..
hai naam hothon par ab bhi lekin...
aawaaz main pad gayi darrarein..

Saturday, April 01, 2006

Piya Tora kaisa abhimaan


kisi mausam ka jhaunka tha
jo is deewar par latki hui tasveer tirchhi kar gaya hai
gaye sawaan mein ye deewarein yoon seeli nahin thi
na jaane is dafa kyun inmein seelan aa gayi hai
darare pad gaye hai aur seelan is tarha baithti hai
jaise khushk rukhsaroon pe geele aansu chalte hain